Tuesday, April 3, 2012

My Own Verses

tumhein khu kr bhi ji na sakun tu kiya karun
apna kr bhi tujhe pa na sakun to kiya karun
apni sari khushian tumhein de kr bhi
tumhein khush na kr sakun tu kiya karun
sajdun mein ghir kr tumhein maanga tha Khuda se
jo Khuda he saath na de to mein kiya karun
shehr mein hr janib udaasi ho to mein kiya karun
hr taraf andhera hi andhera lage to mein kiya karun
shabe intizaar hai bari zalim Sehar Udaas
wo ja kr na aaeen to mein kiya karun



*************************************************************************
shayid tum humein itne yaad na atey, agar tum ne itni jafaeen na ki hotein
hum tu ye jaan kar bhi khush raey, ki shayid kabhi humari yadeen tum hein wapis lai aeen

*************************************************************************

her ishq zameeni nahi hota
her khuda bot khane mein nahi hota
her ik ko ye raaz samjhana nahi hota
her ik ko is rah pe chalana nahi hota
hum to lut ker is maqam tuk ponche hai Sehar
her ik ko is safar ka haal batana nahi hota

Wednesday, May 18, 2011

My Own Verses

hum tu therey khabon k shezadey
humein paana bhi chaho tu na pasako gay
us veraney se kiya hasil ho ga tumhein
jis veraney mein tum matti bhi na pasako gay
hum ne tu buhat dukh jhelein hein Sehar Udaas
ab aur dukh na jhelnein ki qasm khahi hai



Sunday, May 8, 2011

My own Verses

shaid tum humein itney yaad na aatey, 
agar tum ne itni jafaeen na ki hoteen
hum tu ye jaan kar bhi khush rahey,

ki shayid kabhi humari yadeen tumhein lai aaen

Friday, August 27, 2010

My Own Verses


mein hoon ek na-mu-kam’mal insaasn
mujhe chahhie ek aur na-mu-kam’mal insaan
hai koi to aae mera hath tham le Sehar Udaas
jhootun uchakoon ki is wadi me mera humsafar kehlaay

******************************************

 kis kis ko maaf karun kis kis ko bhula doon
yahan to har chehray pe mere khoon ke dhab’bey hain
buhat chaha the jissay hum ne umer bhar Sehar Udaas
wo hi sub se aagey tha mere samne samne

***********************************************

nahaq usne hum say waada-e-wafa kar liya
hum ne to asia khabi chaha bhi na tha
bar bar usey bhulana chaha hum ne sehar udaas
bar bar uska waada-e-wafa yaad aaya

***********************************

uski yaad her lumhe chu ker ghuzar jati hai 

wo shaid aate aate kahein ray jati hai

**********************************

Baar baar gir kar sumbhalna tu seekh liya hum nai, 

maazi ko bhula ker jeena bhi seekh liya hum nai,

na seekha to aap ko yaad na kerna seekha hum nai

 ***************************************

 

 

Sunday, June 27, 2010

My Own Verses

kon kaita hai k mer jaigain hum tere baghair
abhi tu hum ne jeene ka samaan bhi naheen kiya

raat buhat ho chuki hai Sehar 
so jao k kal uski baraat aaney wali hai

dhukun k is shehr mein maalik
hum teri rehmat k saharey jee rahey hein

Udasi kahe ko hai Sehar 
raat tu abhi baqi hai rune k liya

hum nai tu chaha tha tumein
apni rag-e-jan se bhi ziyada
kiya khabar thee humein k tum
hamarey hokar bhi humarey na hogey

loot ker mere jahan ko tum ne kiya paya
bhala lutey huway ko bhi koi loot ta hai