Friday, August 27, 2010

My Own Verses


mein hoon ek na-mu-kam’mal insaasn
mujhe chahhie ek aur na-mu-kam’mal insaan
hai koi to aae mera hath tham le Sehar Udaas
jhootun uchakoon ki is wadi me mera humsafar kehlaay

******************************************

 kis kis ko maaf karun kis kis ko bhula doon
yahan to har chehray pe mere khoon ke dhab’bey hain
buhat chaha the jissay hum ne umer bhar Sehar Udaas
wo hi sub se aagey tha mere samne samne

***********************************************

nahaq usne hum say waada-e-wafa kar liya
hum ne to asia khabi chaha bhi na tha
bar bar usey bhulana chaha hum ne sehar udaas
bar bar uska waada-e-wafa yaad aaya

***********************************

uski yaad her lumhe chu ker ghuzar jati hai 

wo shaid aate aate kahein ray jati hai

**********************************

Baar baar gir kar sumbhalna tu seekh liya hum nai, 

maazi ko bhula ker jeena bhi seekh liya hum nai,

na seekha to aap ko yaad na kerna seekha hum nai

 ***************************************

 

 

No comments:

Post a Comment